har qadam ek qayamat jahan bavar aa.e
tere pichhe to koi soch-samajh kar aa.e
mere showcase ki taqdir sanvar sakti hai
kya ye kam hai ki mire ghar tira patthar aa.e
main jinhen mil na saka vo to munafiq honge
jin ko aana tha mire dil men barabar aa.e
ho sake to ye baha ashk nadamat vaale
ain mumkin hai ki vo shaḳhs palaT kar aa.e
alam-e-vajd men aane to de ik baar mujhe
ek to kya tiri tasvir bhi chal kar aa.e
agla mausam ho tabahi ka ye mumkin hai miyan
ek muddat hui basti men qalandar aa.e
ho gaya aaj ayaan tere tasavvur ka tilism
dil ki dahliz pe alfaz ke lashkar aa.e
koi ‘afaq’ mohabbat ki himayat men nahin
jaane kitne hi nishan us ke badan par aa.e
Leave a Reply