tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai
to phir ye saans bhi rukti hui mahsus hoti hai
jo kahna hi nahin us ka ishara kyuun diya jaa.e
ki aisi baat to kuchh aur bhi mahsus hoti hai
adim-ul-fursati shiddat se us ka yaad aa jaana
ghanimat hai agar ye tishnagi mahsus hoti hai
palaT kar aa ga.e ho tum to kyuun aa.e nahin lagte
tumhari aankh men kyuun gard si mahsus hoti hai
vagarna bojh hai jis ko liye phirna hai kandhe par
karen mahsus to ye zindagi mahsus hoti hai
shajar vo bhi jise sincha ho apna ḳhuun de de kar
kabhi us ki bhi chhanv ajnabi mahsus hoti hai
ye mere ḳhvab hain jo saaya karte hain mire sar par
mujhe is dopahar men chhanv si mahsus hoti hai
kisi ki guftugu ke darmiyan aksar na jaane kyuun
kahin gahri si koi ḳhamushi mahsus hoti hai
zamin teri tarah main bhi safar men huun ki jaise tu
kabhi Thahri nahin Thahri hui mahsus hoti hai
Leave a Reply