• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nae jhagDe Nirali Kawishen Ijad Karte Hain

Nae jhagDe Nirali Kawishen Ijad Karte Hain

na.e jhagḌe nirali kavishen ijad karte hain

vatan ki aabru ahl-e-vatan barbad karte hain

hava men uḌ ke sair-e-alam-e-ijad karte hain

farishte dang hain vo kaam adam-zad karte hain

naya maslak naya rang-e-suḳhan ijad karte hain

urus-e-sher ko ham qaid se azad karte hain

mata-e-pas-e-ghairat bul-havas barbad karte hain

lab-e-ḳhamosh ko sharminda-e-faryad karte hain

hava-e-taza pa kar bostan ko yaad karte hain

asiran-e-qafas vaqt-e-sahar fariyad karte hain

zara ai kunj-e-marqad yaad rakhna us hamiyyat ko

ki ghar viran kar ke ham tujhe abad karte hain

har ik ḳhisht-e-kuhan afsana-e-derina kahti hai

zaban-e-hal se TuuTe khanDar fariyad karte hain

bala-e-jan hain ye tasbih aur zunnar ke phande

dil-e-haq-bin ko ham is qaid se azad karte hain

azaan dete hain but-ḳhane men ja kar shan-e-momin se

haram ke nara-e-naqus ham ijad karte hain

nikal kar apne qalib se naya qalib basa.egi

asiri ke liye ham ruuh ko azad karte hain

mohabbat ke chaman men majma-e-ahbab rahta hai

na.i jannat isi duniya men ham abad karte hain

nahin ghaTti miri ankhon men tariki shab-e-gham ki

ye taare raushni apni abas barbad karte hain

thake-mande musafir zulmat-e-sham-e-ghariban men

bahar-e-jalva-e-sub.h-e-vatan ko yaad karte hain

dil-e-nashad rota hai zaban uf kar nahin sakti

koi sunta nahin yuun be-nava fariyad karte hain

janab-e-shaiḳh ko ye mashq hai yad-e-ilahi ki

ḳhabar hoti nahin dil ko zaban se yaad karte hain

nazar aati hai duniya ik ibadat-gah-e-nurani

sahar ka vaqt hai bande ḳhuda ko yaad karte hain

sabaq umr-e-ravan ka dil-nashin hone nahin paata

hamesha bhulte jaate hain jo kuchh yaad karte hain

zamane ka moallim imtihan un ka nahin karta

jo ankhen khol kar ye dars-e-hasti yaad karte hain

adab ta.alim ka jauhar hai zevar hai javani ka

vahi shagird hain jo ḳhidmat-e-ustad karte hain

na jaani qadr teri umr-e-rafta ham ne collage men

nikal aate hain aansu ab tujhe jab yaad karte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Wo Kafir Ki Sada Aish Ka Saman Mange

Sufi

Muqaddar Mein Sahil Kahan Hai Miyan

poet

Tumko Kahte Hain Ki Aashiq Ki Fughan Sunte Ho

Main Kya Bataun Tujhko Meri Jaan Rah Gae

poet

Kidhar Jaun Kahin Rasta Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet