aks-e-ḳhayal-e-yar sanvara karenge ham
shishe men aa.ine ko utara karenge ham
sahra men e’timad ke gum-sum sama.aten
kuchh log kah rahe the pukara karenge ham
gardan kaTi hai haath bhi shanon se kaT ga.e
qatil ki samt kaise ishara karenge ham
mere ḳhilaf vo bhi samundar se mil ga.e
dariya to kah rahe the kinara karenge ham
chadar se jab na chhup saka sukḌa hua badan
khul kar ab apne paanv pasara karenge ham
sanson ki tarah ye bhi hain jiine ko lazmi
choTen jo dab chuki hain ubhara karenge ham
‘aḳhtar’ hon jab sitare sabhi asman par
phir kyuun kisi zamin pe guzara karenge ham
Leave a Reply