aah sharminda-e-asar na hui
koi tadbir kargar na hui
multafit aap ki nazar na hui
shaḳh-e-ummid barvar na hui
ham ne din jis jagah guzar diya
raat apni vahan basar na hui
aib auron ke DhunDte hain ham
apne afa.al par nazar na hui
qissa-e-gham agar na tha kotah
zindagani bhi muḳhtasar na hui
rah ga.i dil men dagh-e-dil ban kar
vo tamanna jo barvar na hui
daad do mere zabt-e-gham ki mujhe
dil bhi roya to chashm tar na hui
mere taḳh.il ki bulandi bhi
kabhi mohtaj-e-bal-o-par na hui
ḳhubiyan dekhiye muqaddar ki
ho ga.i shaam to sahar na hui
un se milne ki aarzu puuri
baat mumkin sahi magar na hui
dil pe guzre vo hadse ‘shankar’
ik ghaḌi chain se basar na hui
Leave a Reply