• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Thokaren Khaiye Patthar Bhi uThate Chaliye

Thokaren Khaiye Patthar Bhi uThate Chaliye

Thokaren kha.iye patthar bhi uThate chaliye

aane valon ke liye raah banate chaliye

apna jo farz hai vo farz nibhate chaliye

gham ho jis ka bhi use apna banate chaliye

kal to aa.ega magar aaj na aa.ega kabhi

ḳhvab-e-ghaflat men jo hain un ko jagate chaliye

azm hai dil men to manzil bhi koi duur nahin

samne aa.e jo divar girate chaliye

nafraten fasle kuchh aur baḌha deti hain

giit kuchh pyaar ke in rahon men gaate chaliye

rah-e-dushvar hai be-saya shajar hain saare

dhuup hai sar pe qadam tez baḌhate chaliye

kaam ye ahl-e-jahan ka hai sunen ya na sunen

apna paigham zamane ko sunate chaliye

dil men so.e hue naghmon ko jagana hai agar

meri avaz men avaz milate chaliye

raste jitne hain sab jaate hain manzil ki taraf

shart-e-manzil hai magar jhumte gaate chaliye

kuchh mile ya na mile apni vafaon ka sila

daman-e-rasm-e-vafa apna baḌhate chaliye

yuun hi shayad dil-e-viran men bahar aa jaa.e

zaḳhm jitne milen siine pe sajate chaliye

jab talak haath na aa jaa.e kisi ka daman

dhajjiyan apne gireban ki uḌate chaliye

shauq se likhiye fasana magar ik shart ke saath

is fasane se mira naam miTate chaliye

aaj ke daur men ‘naushad’ yahi behtar hai

is bure daur se daman ko bachate chaliye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

mirza-ghalib

Fariyaad Ki Koi Lai Nahin Hai

Tum Jis Ko DhunDte Ho Ye Mahfil Nahin Hai Wo

ahmad-ali-barqi-azmi

Gardish Jise Matlub Hai Gulzar Mein Aawe

ajmal-ajmali

Ai Husn Jab Se Raaz Tera Pa Gae Hain Hum

KHalwat-E-Zat Hai Aur Anjuman-Arai Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet