zard patte the hamen aur kya kar jaana tha
tez andhi thi muqabil so bikhar jaana tha
vo na tha tark-e-ta.alluq pe pasheman to phir
tum ko bhi chahiye ye tha ki mukar jaana tha
kyuun bhala kachche makanon ka tumhen aaya ḳhayal
tum to dariya the tumhen tez guzar jaana tha
ishq men soch samajh kar nahin chalte sa.in
jis taraf us ne bulaya tha udhar jaana tha
tujh se hi TuuTa bharam rishton ki mazbuti ka
sar pe ilzam tire dida-e-tar jaana tha
ḳhud ko jab kar hi diya tha tiri andhi ke supurd
phir ye kya jaan ke karte ki kidhar jaana tha
kya ḳhabar thi ki yahan teri zarurat hogi
ham ne to bas dar-o-divar ko ghar jaana tha
Leave a Reply