hamen zahid jo kafir janta hai
to phir patthar ko tu kyuun manta hai
na puchha us ne mujh ko kaun hai tu
hua sabit ki vo pahchanta hai
na mujh se pher munh kafir khudara
are quran kyuun gardanta hai
kahun kis se ki kya hai yaar mera
use kuchh mera ji hi janta hai
bahut chaha na bolun yaar tujh se
magar zalim ye dil kab manta hai
nahin chhalni hamara dil na hoga
hamari baat kyuun tu chhanta hai
na denge jaan ham kahne pe us ke
raqib-e-ru-siyah kyuun tanta hai
bhala kyun-kar use samjhae koi
vo kafir kab kisi ki manta hai
ghazab hai chhedna us fitna-gar ko
ye ‘anjum’ dil men kya tu thanta hai
Leave a Reply