ishq ko be-naqab hona tha
aap apna javab hona tha
mast-e-jam-e-sharab hona tha
be-khud-e-iztirab hona tha
teri ankhon ka kuchh qusur nahin
haan mujhi ko kharab hona tha
aao mil jaao muskura ke gale
ho chuka jo itaab hona tha
kucha-e-ishq men nikal aaya
jis ko khana-kharab hona tha
mast-e-jam-e-sharab khaak hote
gharq-e-jam-e-sharab hona tha
dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang
us ko saada kitab hona tha
ham ne nakamiyon ko dhund liya
akhirash kamyab hona tha
haae vo lamha-e-sukun ki jise
mahshar-e-iztirab hona tha
nigah-e-yar khud tadap uthti
shart-e-avval kharab hona tha
kyuun na hota sitam bhi be-payan
karam-e-be-hisab hona tha
kyuun nazar hairaton men duub gai
mauj-e-sad-iztirab hona tha
ho chuka roz-e-avvalin hi ‘jigar’
jis ko jitna kharab hona tha
Leave a Reply