jahan men jahan jis ko ham dekhte hain
tumhin ko tumhari qasam dekhte hain
talab-gar tere ba-chashm-e-haqiqat
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
barabar hain gabro-musalman ham ko
ziyada kisi ko na kam dekhte hain
tere ashiqon ko na dozakh ka dar hai
na hasrat se su-e-iram dekhte hain
tabibon ne samjha hai kya ye tamasha
meri nabz kyuun dam-ba-dam dekhte hain
nahin band hai bab-e-ehsan ‘varis’
ham un ka barabar karam dekhte hain
ladi hai kisi gul se kya aankh ‘aughat’
tumhen muztar-o-chashm-e-nam dekhte hain
Leave a Reply