duniya ko is baar fasana kar dunga
ḳhvabon ko har samt ravana kar dunga
in raston se meri purani nisbat hai
saath chalo to safar suhana kar dunga
aa ja.egi duniya asli halat par
nafiz har dastur purana kar dunga
vo bhi kahan karta hai koi va.ada puura
main bhi us se koi bahana kar dunga
shayad tum ko pata nahin main chahun to
apne haq men pesh zamana kar dunga
Leave a Reply