soch kar mil zarā tavaqquf kar
yuuñ na har ek se ta.āruf kar
zindagī ḳharch karne vaale sun
maut par bhī to kuchh tasarruf kar
dīn-e-insāniyat ke jauhar se
ai ḳhudā ham ko bhī musharraf kar
had meñ rah kar hī be-takalluf ho
ho na mahsūs yuuñ takalluf kar
jhuuT go kāmrān hotā hai
apne sach par na ab ta.assuf kar
chhup ke jo bechte haiñ millat ko
aise logoñ pe khul ke tuf tuf kar
saarī duniyā badal rahī hai ‘asad’
apnā tabdīl ab ta.āruf kar