is e’tibar se be-intiha zaruri hai
pukarne ke liye ik ḳhuda zaruri hai
hazar rang men mumkin hai dard ka iz.har
tire firaq men marna hi kya zaruri hai
shu.ur shahr ke halat ka nahin sab ko
bayan shahr ke halat ka zaruri hai
kuchh aaise sher hain yaaro jo ham nahin kahte
har ek baat ka iz.har kya zaruri hai
‘shuja.a’ maut se pahle zarur ji lena
ye kaam bhuul na jaana baḌa zaruri hai
Leave a Reply