ashiqi jan-faza bhi hoti hai
aur sabr-azma bhi hoti hai
ruuh hoti hai kaif-parvar bhi
aur dard-ashna bhi hoti hai
husn ko kar na de ye sharminda
ishq se ye khata bhi hoti hai
ban gai rasm bada-khvari bhi
ye namaz ab qaza bhi hoti hai
jis ko kahte hain nala-e-barham
saaz men vo sada bhi hoti hai
kya bata do ‘majaz’ ki duniya
kuchh haqiqat-numa bhi hoti hai
Leave a Reply