savad-e-hijr men rakkha hua diya huun main
tujhe ḳhabar nahin kis aag men jala huun main
main qarya qarya phira gard-bad ban ke jahan
usi zamin pe parcham-sifat uTha huun main
abhi chhuTi nahin jannat ki dhuul paanv se
hanuz farsh-e-zamin par naya naya huun main
hazar shukr hai ki ḳhud pe ustuvar tha main
hazar shukr ki buniyad par gira huun main
miri shaguft ke mausam abhi nahin aa.e
kahin kahin pe magar phir bhi khil gaya huun main
miri shikast bhi hai reḳht ‘iftiḳhar-mughal’
ki yunhi banne bigaḌne men hi bana huun main
Leave a Reply