mizaj-e-naghma-o-sher-o-sharab paida kar
hayat-e-ishq men kuchh ab-o-tab paida kar
nazar ko ḳhirgi-e-shauq be-panah mile
har ek zarre se vo aftab paida kar
shikast-e-ḳhvab ke ba-vasf band hain ankhen
phir ek baar tamasha-e-ḳhvab paida kar
ye be-niyazi-e-taz.in-e-a.ina kab tak
kabhi kabhi to ḳhud apna javab paida kar
har ek zarra hai mamura-e-jamal-e-habib
dil-e-hazin nigah-e-kamyab paida kar
dil-o-nigah ko dhoke bhi raas aa.e hain
vufur-e-tishna-labi men sarab paida kar
na kar shikayat-e-dauran na ban harif-e-zaman
musibaton ka koi sadd-e-bab paida kar
pahunch buland-maqamat-e-sher-o-naghma tak
adab men ek dil-avez baab paida kar
gharaz to ye hai tira markaz-e-nigah rahun
sukun-e-dil na sahi iztirab paida kar
‘ra.is’ tujh ko to marne ki bhi nahin fursat
kaha tha kis ne ki aise azaab paida kar
Leave a Reply