dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajiib se
ai ruh-e-asr jaag kahan so rahi hai tu
avaz de rahe hain payambar salib se
is rengti hayat ka kab tak uthaen baar
bimar ab ulajhne lage hain tabib se
har gaam par hai majma-e-ushshaq muntazir
maqtal ki raah milti hai ku-e-habib se
is tarah zindagi ne diya hai hamara saath
jaise koi nibah raha ho raqib se
Leave a Reply