koi pahra laga nahin hota
main hi phir bhi raha nahin hota
ḳhuun dil ka hua to ye jaana
naqsh kyuun der-pa nahin hota
vaqt kyuun hai ghubar ankhon men
aks bhi ashna nahin hota
kuchh to dil se kaha hai ankhon ne
zaḳhm-e-dil kya hara nahin hota
phir use hi talash karta huun
jis ka koi pata nahin hota
jo bhi apni zaban se deta vo
za.iqa bad-maza nahin hota
Leave a Reply