• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / dekhiye Kitne Sukhan-Fahm Sukhan-War Aae

dekhiye Kitne Sukhan-Fahm Sukhan-War Aae

poet

dekhiye kitne sukhan-fahm sukhan-var aae

main ne ik phuul uthaya kai patthar aae

kar chuke tark-e-taalluq to use sochna kya

dil se nikla hai to vo yaad bhi kyuun kar aae

phir vahi raat ho badal hon hava chalti ho

phir vahi chand darakhton se nikal kar aae

raah hamvar muqaddar men nahin thi shayad

paanv nikla tha abhi ghar se ki patthar aae

ek do gam-e-masafat thi tiri galiyon ki

saari duniya ki thakan laad ke ham ghar aae

jang jaari hai abhi jagte rahiye shab-bhar

jaane kas ot se chhup kar koi lashkar aae

kya koi gham ke ganvane ka hunar haath aaya

muskurate hue jo ranj ke khugar aae

dekh kar jis ki jhalak jaan men jaan aati thi

ab sar-e-rah use dekh ke chakkar aae

is baras phuul zyada na sahi shakhon par

barishen kam thiin magar rang barabar aae

ab to is niind men chalte hue ukta gae ham

ab to behtar hai kisi mod pe thokar aae

ek do pal to faramosh bhi kar den us ko

haan agar shakhs koi yaad barabar aae

gham-gusaron men mire charagaron men aksar

mere dushman bhi kai bhes badal kar aae

log kis khvab se rote hue uthe ‘janan’

jaane kis qarya-e-matam se ye bahar aae

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Marg-E-Ashiq Par Farishta Maut Ka Badnam Tha

Bala Se Nam Wo Mera Uchhaal Deta Hai

Jab Uski Taswir Banai Jati Hai

poet

de Hashr Ke Wade Pe Use Kaun Bhala Qarz

Aaine Mein Aks Khilta Hai Gul-E-Hairat Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet