pas-e-divar mumkin hai
agarche pyaar mumkin hai
kahin hai kar-amad aur
kahin be-kar mumkin hai
yahan mumkin nahin hai jo
samundar paar mumkin hai
nibha.unga main yak-tarfa
jahan tak yaar mumkin hai
tire dam se yahan sab kuchh
miri sarkar mumkin hai
nahin hai fa.eda is men
jo karobar mumkin hai
mohabbat kya havas bhi ab
sar-e-bazar mumkin hai
kahan mumkin nahin hai aur
kahan didar mumkin hai
vahan lab hi nahin khulte
jahan iz.har mumkin hai
mujhe darpesh ab ‘nami’
baḌi dushvar mumkin hai
Leave a Reply