azal ke din jinhen dekha tha bazm-e-husn-e-pinhan men
simaT aa.en vahi ra.ana.iyan tasvir-e-janan men
mira zauq-e-nazar ab us maqam-e-ashiqi par hai
jahan uljha hua hai husn bhi ḳhvab-e-pareshan men
baḌha de kaash koi vus.aten anvar-e-ma.ani ki
mujhe tarmim karna hai mazaq-e-chashm-e-hairan men
abhi gunja.ishen dekhi kahan hain ahl-e-alam ne
sama ja ai ajal aa tu bhi ḳhalvat-ḳhana-e-jan men
har ik tar-e-gareban hasil-e-sad-barq-e-aiman hai
ḳhuda-ma.alum kitne husn hain chak-e-gareban men
ḳhuda rakkhe mire daman men hai ik phuul aisa bhi
khaTakta hai jo kanTe ki tarah chashm-e-gulistan men
azal ke roz se arsh-o-mala.ik sajda karte hain
koi to baat hai ai ‘arzu’ tarkib-e-insan men
Leave a Reply