un se kah do ki ilaj-e-dil-e-shaida na karen
yahi achchha hai ki bimar ko achchha na karen
kya kaha phir to kaho ham koi shikva na karen
chup rahen zulm sahen zulm ka charcha na karen
ye tamasha to karen ruḳh se uTha den vo naqab
ek aalam ko magar mahv-e-tamasha na karen
vaqt-e-aḳhir to nikal jaa.e tamanna meri
vo na aise men bhi aa.en kahin aisa na karen
intiha ho ga.i azad-dahi ki sayyad
ham tasavvur men bhi gulzar ko dekha na karen
roz vo kahte hain aaj a.enge kal a.enge
aise va.ade se to behtar hai ki va.ada na karen
ḳhud-numa.i unhen ghairon men liye phirti hai
ham to jab janen ki ham se bhi vo parda na karen
tegh ruk jaati hai navak bhi bahak jaata hai
koi ‘bismil’ ko ye samjha de ki taḌpa na karen
Leave a Reply