khudi vo bahr hai jis ka koi kinara nahin
tu aabju ise samjha agar to chara nahin
tilism-e-gumbad-e-gardun ko tod sakte hain
zujaj ki ye imarat hai sang-e-khara nahin
khudi men dubte hain phir ubhar bhi aate hain
magar ye hausla-e-mard-e-hech-kara nahin
tire maqam ko anjum-shanas kya jaane
ki khak-e-zinda hai tu taba-e-sitara nahin
yahin bahisht bhi hai huur o jibrail bhi hai
tiri nigah men abhi shokhi-e-nazara nahin
mire junun ne zamane ko khuub pahchana
vo pairahan mujhe bakhsha ki paara paara nahin
ghazab hai ain-e-karam men bakhil hai fitrat
ki lal-e-nab men atish to hai sharara nahin
Leave a Reply