• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / bhiD Mein Koi Shanasa Bhi Nahin chhoDti Hai

bhiD Mein Koi Shanasa Bhi Nahin chhoDti Hai

bhiiḌ men koi shanasa bhi nahin chhoḌti hai

zindagi mujh ko akela bhi nahin chhoḌti hai

afiyat ka koi gosha bhi nahin chhoḌti hai

aur duniya mira rasta bhi nahin chhoḌti hai

mujh ko rusva bhi bahut karti hai shohrat ki havas

aur shohrat mira pichha bhi nahin chhoḌti hai

ham ko do ghonT ki ḳhairat hi de do varna

pyaas pagal ho to dariya bhi nahin chhoḌti hai

aabru ke liye roti hai bahut pichhle pahar

ek aurat ki jo pesha bhi nahin chhoḌti hai

Dubne vaale ke hathon men ye pagal duniya

ek TuuTa hua tinka bhi nahin chhoḌti hai

ab ke jab gaanv se lauTe to ye ehsas hua

dushmani ḳhuun ka rishta bhi nahin chhoḌti hai

kya mukammal hai juda.i ki bichhaḌ jaane ke ba.ad

tujh se milne ka bahana bhi nahin chhoḌti hai

jante sab the ki nafrat ki ye kaali andhi

dasht to dasht hain dariya bhi nahin chhoḌti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhlaque-bandvi

Idhar Charagh Jal Gae Udhar Charagh Jal Gae

Tera Suluk Mujhse Hai Aghyar Ki Tarah

Hayat Hai Ki Musalsal Safar Ka Aalam Hai

poet

Dard-E-Dil Ka Kise Karun Izhaar

shakeel-badayuni

Hazar Qaid-E-Jawan Se Chhut Kar Bahaar Ka Aasra Karenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet