bahut kaha tha suḳhan-varon men guzar na karna
bahut kaha tha ki baat sunna magar na karna
bahut kaha tha ki Dubne ka hai Dar ziyada
bahut kaha tha ki paniyon ka safar na karna
bahut kaha tha ki tum akele na rah sakoge
bahut kaha tha ki ham ko yuun dar-ba-dar na karna
bahut kaha tha vo tum ko pahchanta nahin hai
bahut kaha tha tum us ko apni ḳhabar na karna
bahut kaha tha ki rabton ko daraz rakhna
bahut kaha tha mohabbaten muḳhtasar na karna
bahut kaha tha ki ishq aḳhir to ishq Thahra
bahut kaha tha kisi ko is ki ḳhabar na karna
bahut kaha tha zamin se rishta na ‘tur’ TuuTe
bahut kaha tha falak ko zer-e-asar na karna
Leave a Reply