is tarah bazm men vasf-e-ruḳh-e-janana karun
atish-e-shauq se ta-sham.a ko parvana karun
aql ka ta.an na kar mujh pe abhi ai naseh
ik suḳhan ishq ka kah tujh ko bhi divana karun
ashk-e-hasrat ki agar hove madad ai zahid
dil-e-sad-chak ko main sub.ha-e-sad-dana karun
dard-e-dil puchh na mujh se ki vo batuni huun
harf ho ek to sau tarah se afsana karun
apne sauda ne kiya shahr ka bazar to garm
ai ‘raza’ dil men hai abad main virana karun
Leave a Reply