• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phul Mahkae the Maine Shadmani Ke Liye

Phul Mahkae the Maine Shadmani Ke Liye

phuul mahka.e the main ne shadmani ke liye

har nafs ab mar rahi hon zindagani ke liye

kis tarah kaliyan khilen aur kis tarah mahken gulab

tang ho jaa.e zamin jab baghbani ke liye

sabr ki had se guzar jaati hai sahraon ki pyaas

ḳhushk ho jaata hai jab dariya hi paani ke liye

us ki chahat us ki qurbat us ki baten us ki yaad

kitne unvan mil ga.e hain ik kahani ke liye

us liye ham ko nahin baḳhsha gaya koi makan

kyunki ham paida hue the be-makani ke liye

talḳhiyon se vaqt ki jo ho ga.e nashtar-sifat

lab the vo mash.hur apni ḳhush-bayani ke liye

vaqt ke jalte hue suraj ki tapti dhuup men

is ki yadon ke shajar hain sa.ebani ke liye

sha.iri ki barishon men bhige bhige tere lab

rab ka hai in.aam ‘mina’ be-zabani ke liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Le Ke Dil Ko Ye Sochi Kahin Jigar Bhi Hai

Ahbab Hain Kyun Dang Mujhe Hi Nahin Malum

Lala-O-Gul Mein Bikhar Jaenge Hum

Kabhi Daman-E-Dil Par Dagh-E-Mayusi Nahin Aaya

Guman KHak Mein Sab Ke Milane Wala Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet