ibn-e-adam barsar paikar hai
garm zulm-o-jaur ka bazar hai
dandanate phir rahe hain shar-pasand
kaun akhir is ka zimmedar hai
bo raha hai bughz va nafrat ke vo biij
jis ki apni zehniyat bimar hai
hai aziiz apna use shakhsi mafad
maslahat-bin aaj ka fankar hai
khun-e-insan ki tijarat ke liye
jis ko apna faeda darkar hai
karta hai barham nizam zindagi
sirf mal-o-zar se us ko pyaar hai
dekh kar chaliye zara dam-e-fareb
vo shikari darpai-e-azar hai
rakhiye gird-o-pesh par apne nazar
gul ke pahlu men vo dekhen khaar hai
jis ki nazron men barabar hon sabhi
mulk-o-millat ka vahi meamar hai
haq ne di hai aap ko vo aql-e-kul
jo mohabbat ki alam-bardar hai
aao mil-jul kar use ham tai karen
zindagi ka jo safar dushvar hai
bhaai chare ki faza qaaem karen
aap ka ‘barqi’ yahi gham-khvar hai
Leave a Reply