Na Ho Aarzu Kuchh Yahi Aarzu Hai

na ho aarzū kuchh yahī aarzū hai

faqat maiñ hī maiñ huuñ to phir tū hī tū hai

na ye hai na vo hai na maiñ huuñ na tū hai

hazāroñ tasavvur aur ik aarzū hai

na ummīd jhūTī na kuchh yaas sachchī

nahīñ jo kahīñ bhī vahī chār-sū hai

kise DhūñDhte haiñ yahī DhūñDhte haiñ

yahī justujū hai agar justujū hai

jagā.egā kis tarah shor-e-qayāmat

ḳhamoshī se nā-chār har guftugū hai

ḳhudī bhī hamārī ḳhudā.ī sahī

vahī ham-nashīñ hai vahī dū-ba-dū hai

magar dashna thā sāya-e-zulf-e-sāqī

ki jo zaḳhm hai sāġhar-e-mushk-bū hai

Leave a Comment