tum ko ye hai agar yaqin dil men vo jalva-gar nahin
DhunDha karo tamam umr milne ka umr-bhar nahin
aa.e na aa.e be-ḳhabar kya tujhe ye ḳhabar nahin
saans ka e’tibar kya shaam hai to sahar nahin
dair ho ka.aba ho ki dil kis men vo jalva-gar nahin
dekh sakun magar use itni miri nazar nahin
kunj-e-qafas men andalib muztar-o-bekas-o-gharib
kahne ko bal-o-par to hain uḌne ko bal-o-par nahin
dil men bala ka josh hai sar liye sarfarosh hai
jiine ka hosh hai kahan marne ka us ko Dar nahin
toḌ raha hai aaj dam gham men koi mariz-e-gham
phir bhi hain aap be-ḳhabar aap ko kuchh ḳhabar nahin
jaan ga.e ye mar ke ham mulk-e-adam tha do-qadam
ḳhatm ho jald jo safar aisa koi safar nahin
parde men aap baiTh kar rakhte hain har taraf nazar
aur zaban par ye hai shoḳh miri nazar nahin
lab pe hai nara-e-alast jhuum raha hai koi mast
chha.i hai aisi be-ḳhudi apni use ḳhabar nahin
uf ye mira nasib-e-bad ja ke bani kahan lahad
sab ki hai rahguzar jahan aap ki rahguzar nahin
baat ye tum ne sach kahi ‘bismil’ be-hunar sahi
ye bhi hai ik baḌa hunar is men koi hunar nahin
Leave a Reply