kabhi kabhar bhi kab sa.eban kisi ne diya
na haath sar pe ba-juz asman kisi ne diya
nisar main tiri yadon ki chhatriyon pe nisar
na is tarah ka kabhi sa.eban kisi ne diya
hamare paanv bhi apne nahin hain aur sar bhi
zamin kahin se mili asman kisi ne diya
bika tha kal bhi to ik zehan chand sikkon men
sanad kisi ko mili imtihan kisi ne diya
ulajh paḌa tha vo malik-makan se ik din
phir is ke ba.ad na us ko makan kisi ne diya
tu itne gham ko sambhalega kis tarah ‘nasik’
agar tujhe bhi gham-e-bekaran kisi ne diya
Leave a Reply