phata hua jo gareban dikhai deta hai
kisi ka dard numayan dikhai deta hai
nikalna chahta huun jism ke hisar se main
ki apna tan mujhe zindan dikhai deta hai
sara-e-dahr men thahra hua musafir huun
ajiib be-sar-o-saman dikhai deta hai
tire labon ke tabassum ko kis se duun tashbih
ki ghuncha bhi to pareshan dikhai deta hai
har ek shakhs kisi khauf ki giraft men hai
tamam shahr hirasan dikhai deta hai
jo ho sake to kabhi us ki ruuh men jhanko
qaba pahan ke jo uryan dikhai deta hai
maash aisi ki sunsan hain gali bazar
bhatakta aisa ki insan dikhai deta hai
Leave a Reply