main ki mai-khana-e-ulfat ka purana mai-khvar
mahfil-e-husn ka ik mutrib-e-shirin-guftar
mah-paron ka hadaf zohra-jabinon ka shikar
naghma-paira o navasanj o ghazal-khvan huun main
kitne dil-kash mire but-khan-e-iman ke sanam
vo kalisaon ke aahu vo gazalan-e-haram
main hama-shauq-o-mohabbat vo hama-lutf-o-karam
markaz-e-marhamat-e-mahfil-e-khuban huun main
maujzan hai mai-e-ishrat mire paimanon men
yaas ka dard hai kam-tar mire afsanon men
kamrani hai par-afshan mire rumanon men
yaas ki sai-e-junun-khez pe khandan huun main
mere afkar men mahtab ki talat ghaltan
meri guftar men hai subh ki nuzhat ghaltan
mere ashar men hai phulon ki nikhat ghaltan
ruh-e-gulzar huun main jan-e-gulistan huun main
laakh majbur huun main zauq-e-khud-arai se
dil hai bezar ab is ishrat-e-tanhai se
aankh majbur nahin hai miri binai se
mahram-e-dard-o-gham-e-alam-e-insan huun main
kyuun na chahun ki har ik haath men paimana ho
yaas o mahrumi o majburi ik afsana ho
aam ab faiz-e-mai-o-saqi-o-mai-khana ho
rind huun aur jigar-gosha-e-rindan huun main
ab ye arman ki badal jaae jahan ka dastur
ek ik aankh men ho aish o faraghat ka surur
ek ik jism pe ho atlas o kam-khvab o samor
ab ye baat aur hai khud chak-gareban huun main
Leave a Reply