• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aankhen Meri Talwon Se Wo Mal Jae To Achchha

Aankhen Meri Talwon Se Wo Mal Jae To Achchha

sheikh-ibrahim-zauq

ankhen miri talvon se vo mal jaae to achchha

hai hasrat-e-pa-bos nikal jaae to achchha

jo chashm ki be-nam ho vo ho kor to behtar

jo dil ki ho be-dagh vo jal jaae to achchha

bimar-e-mohabbat ne liya tere sambhala

lekin vo sambhale se sambhal jaae to achchha

ho tujh se ayadat jo na bimar ki apne

lene ko khabar us ki ajal jaae to achchha

khinche dil-e-insan ko na vo zulf-e-siyah-fam

azhdar koi gar us ko nigal jaae to achchha

tasir-e-mohabbat ajab ik hub ka amal hai

lekin ye amal yaar pe chal jaae to achchha

dil gir ke nazar se tiri uthne ka nahin phir

ye girne se pahle hi sambhal jaae to achchha

furqat men tiri tar-e-nafas siine men mere

kanta sa khatakta hai nikal jaae to achchha

ai girya na rakh mere tan-e-khushk ko gharqab

lakdi ki tarah paani men gal jaae to achchha

haan kuchh to ho hasil samar-e-nakhl-e-mohabbat

ye siina phaphulon se jo phal jaae to achchha

vo subh ko aae to karun baton men dopahar

aur chahun ki din thoda sa dhal jaae to achchha

dhal jaae jo din bhi to usi tarah karun shaam

aur chahun ki gar aaj se kal jaae to achchha

jab kal ho to phir vo hi kahun kal ki tarah se

gar aaj ka din bhi yuun hi tal jaae to achchha

al-qissa nahin chahta main jaae vo yaan se

dil us ka yahin garche bahal jaae to achchha

hai qata rah-e-ishq men ai ‘zauq’ adab shart

juun shama tu ab sar hi ke bal jaae to achchha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

hasrat-mohani

Na Sahi Gar Unhen Khayal Nahin

Aawara Aawara KHushbu Hum Dono

Ye Aur Baat Ki Lahja Udas Rakhte Hain

aal-e-ahmad-suroor

Khushk Kheti Hai Magar Usko Hari Kahte Hain

akbar-allahabadi

Hawa-E-Shab Bhi Hai Ambar-Afshan Uruj Bhi Hai Mah-E-Mubin Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet