hamara naam pukare hamare ghar aae
ye dil talash men jis ki hai vo nazar aae
na jaane shahr-e-nigaran pe kya guzarti hai
faza-e-dasht-e-alam koi to khabar aae
nishan bhuul gai huun main rah-e-manzil ka
khuda kare ki mujhe yad-e-rahguzar aae
main andhiyon men bhi phulon ke rang padh lungi
tire badan ki mahak laut kar agar aae
ghubar gham ka dayar-e-vafa men udta hai
magar ye ashk bahut kaam chashm-e-tar aae
safar ka rang hasin qurbaton ka hamil ho
bahar ban ke koi ab to ham-safar aae
nai sahar ka main ‘gulnar’ istiara huun
faza-e-tira-shabi khatm ho sahar aae
Leave a Reply