vo aur honge jin ko haram ki talash hai
mujh ko to tere naqsh-e-qadam ki talash hai
main to gunahgar-e-mohabbat huun ai sanam
mujh ko tiri nigah-e-karam ki talash hai
zahid sanam-kada meri manzil nahin magar
ashiq huun mujh ko apne sanam ki talash hai
main tera ho chuka huun zamane se kya gharaz
ai jan-e-jan mujhe tire gham ki talash hai
zahid talash karta huun apne sanam ko main
tujh ko sanam ke badle iram ki talash hai
le kar haram men shaiḳh gaya diin ki talab
panDit ko but-kade men dharam ki talash hai
ham ashiqon ka kya hai ye marzi hai yaar ki
un ka sitam mile to sitam ki talash hai
mera dharam yahi hai ki mil jaa.e tu mujhe
teri hi justuju men haram ki talash hai
main to ‘fana’ huun ishq men ai jaan kya kahen
tum jo ata karo usi gham ki talash hai
Leave a Reply