main kya samjhun tire va.ade se kya iz.har hota hai
kabhi iqrar hota hai kabhi inkar hota hai
kisi se kab kisi ke dard ka iz.har hota hai
vahi kuchh ḳhuub kah sakta hai jo bimar hota hai
ilahi ḳhair dohri choT hai kis tarah uTThegi
dil-e-majruh men paivast phir sufar hota hai
barahman janta hai mujh ko main jaisa musalman huun
miri tasbih men bhi rishta-e-zunnar hota hai
zuleḳha ko mile jazbat ke iz.har ka mauqa
abhi bazar-e-ulfat misr ka bazar hota hai
ba-juz zat-e-ḳhuda kis ka sahara hai zamane men
musibat men bhala koi kisi ka yaar hota hai
maza aa.ega raton ko hamen fariyad karne ka
hamara mustaqil bistar pas-e-divar hota hai
nigahon men hua karta hai bai.ana mohabbat ka
ye vo sauda nahin hai jo sar-e-bazar hota hai
nazakat chaar ankhen bazm men karne nahin deti
kisi ki ḳhatir-e-nazuk pe ye bhi baar hota hai
masiha bhi utar aa.en to kya ummid jiine ki
kahin ‘mas.ud’ achchha ishq ka bimar hota hai
Leave a Reply