• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gulon Ke Parde Mein Shaklen Hain Mah-Jabinon Ki

Gulon Ke Parde Mein Shaklen Hain Mah-Jabinon Ki

riyaz-khairabadi

gulon ke parde men shaklen hain mah-jabinon ki

ye daliyan hain ki hain doliyan hasinon ki

ye astinen nahin hain chuni hui zalim

balaen li hain nigahon se astinon ki

kisi ke jalve sar-e-arsh chhup nahin sakte

ki duur rasan hain nigahen buland binon ki

pas-e-fana bhi na khali rahen ye qasr-e-rafia

na hon makin to qabren rahen makinon ki

kis intiha ki nazakat hai mere sheron men

nazar lage na kahin un ko nukta-chinon ki

jo niind aae to yuun aae maut aae to yuun

hamare samne shaklen hon mah-jabinon ki

ham apne mulk-e-sukhan ko vasia karte hain

hamen talash hai har-dam nai zaminon ki

unhen gharaz miri baten khade khade sun len

sunenge baith ke vo apne ham-nashinon ki

kahan vo chandni raten vo chand ke tukde

na ab vo ham hain na shaklen hain mah-jabinon ki

utarte hain nae mazmun jo asman se ‘riyaz’

talash rahti hai ham ko nai zaminon ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jo Hum Kahen Wahi Tarz-E-Bayan Rakhta Hai

poet

Har Samt KHamushi Ka Ghana Ek Hisar Tha

Zindagi Mein Zabt Paida Kar Diya

sabiha-saba-1

dil Mein Aa Ja dilbar Sain

firaq-gorakhpuri

Karte Nahin Kuchh To Kaam Karna Kya Aae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet