jamal-o-ḳhayal-o-tazgi, she.ri jamal aur shai
goya vo husn aur hai us ki sambhal aur shai
dekh ye tu nahin hai to dekh ye men nahin huun main
maut alag mo.amla ain-e-visal aur shai
ya.ani faqir ḳhamushi ya.ani gada.i shor hai
ya.ani ye raqs kuchh nahin ya.ani dhamal aur shai
jo ne dikha.i de sake us par yaqin kijiye
ain-e-jamal aur hai aks-e-jamal aur shai
tu ne jo pa liya vo kya mujh se jo kho gaya vo kya
tera uruuj kuchh nahin mera zaval aur shai
ya.ani ki ishq kijiye ya.ani ye umr kuchh nahin
ya.ani ki shauq aur shai ahl-o-ayal aur shai
dekh junun-e-ḳhabt men farq bahut hai dosta
ishq ki aag aur hai tera ubaal aur shai
dil men ubhar chuka hai jo us ka ghurub hi nahin
ya.ani ye sharq aur hai goya shumal aur shai
Leave a Reply