Is Bhare Shahr Mein Aaram Main Kaise Paun

is bhare shahr meñ ārām maiñ kaise pā.ūñ

jāgte chīḳhte rañgoñ ko kahāñ le jā.ūñ

pairahan chust havā sust khaḌī dīvāreñ

use chāhūñ use rokūñ ki judā ho jā.ūñ

husn bāzār kī zīnat hai magar hai to sahī

ghar se niklā huuñ to us chauk se bhī ho aa.uuñ

laḌkiyāñ kaun se goshe meñ ziyāda hoñgī

na karūñ baat magar peḌ to gintā jā.ūñ

kar rahā huuñ jise badnām galī-kūchoñ meñ

aañkh bhī us se milāte hue maiñ gharā.ūñ

vo mujhe pyaar se dekhe bhī to phir kyā hogā

mujh meñ itnī bhī sakat kab hai ki dhokā khā.ūñ

husn ḳhud ek bhikārī hai mujhe kyā degā

kis tavaqqo.a pe maiñ dāmān-e-nazar phailā.ūñ

vāqi.a kuchh bhī ho sach kahne meñ rusvā.ī hai

kyuuñ na ḳhāmosh rahūñ ahl-e-nazar kahlā.ūñ

ek muddat se ka.ī saa.e mirī taak meñ haiñ

kab talak raat kī dīvār se sar Takrā.ūñ

ādmiyat hai ki hai gumbad-e-be-dar koī

DhūñDne niklūñ to apnā bhī na rasta pā.ūñ

liye phirtā huuñ ḳhayāloñ kā dahaktā dozaḳh

sar se ye bojh utārūñ to ḳhudā ho jā.ūñ

Leave a Comment