ye rahguzar to kisi rahguzar ka dhoka hai
ki umr bhar ka safar bhi safar ka dhoka hai
ḳhabar ki raushni ab raushni nahin karti
so ho na ho ye ḳhabar bhi ḳhabar ka dhoka hai
yahan to hadd-e-nazar tak hai ek virani
mire guman ye tujhe kis nagar ka dhoka hai
dikha.i bhi to kahin de vo dhuup aane par
shajar vo hai ki hamin ko shajar ka dhoka hai
isi liye to ye sahra aziiz hai ki yahan
na shor-e-shahr-e-bala hai na ghar ka dhoka hai
badalti jaati hai duniya kuchh is tarah ‘ḳhalid’
ki jo nazar men hai samjho nazar ka dhoka hai
Leave a Reply