kisi mahal men na shahon ki an-ban men hai
sukun jo kisi Dhabe ke sa.eban men hai
main us maqam par huun jaise koi ḳhali haath
nigah-e-hasrat-o-arman liye dukan men hai
darinde shahr men abad ho ga.e saare
suna hai saath ka jangal baḌi amaan men hai
ye janta hai palaT kar use nahin aana
vo apni ziist ki khinchti hui kaman men hai
Leave a Reply