• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gulzar-E-Jahan Mein Gul Ki Tarah Go Shad Hain Hum Shadab Hain Hum

Gulzar-E-Jahan Mein Gul Ki Tarah Go Shad Hain Hum Shadab Hain Hum

akhtar-shirani

gulzar-e-jahan men gul ki tarah go shaad hain ham shadab hain ham

kahti hai ye hans kar subh-e-khizan sab naz-e-abas ik khvab hain ham

kis mah-e-laqa ke ishq men yuun bechain hain ham betab hain ham

kirnon ki tarah avara hain ham taron ki tarah be-khvab hain ham

mit jaane pe bhi masrur hain ham murjhane pe bhi shadab hain ham

shahba-e-shabab-o-ishq ka ik bhula hua rangin khvab hain ham

fitrat ke jamal-e-rangin se ham ne bhi uthae hain parde

barbat hai agar firdaus-e-jahan to is ke liye mizrab hain ham

khush-vaqti hai vajh-e-ranj-o-alam gulzar-e-jahan men ai hamdam

taair na pukaren shaad hain ham ghunche na kahen shadab hain ham

milne pe gar aaen koi makan khali nahin apne jalvon se

aur gosha-nashin ho jaaen agar kamyab nahin nayab hain ham

do din ke liye ham aae hain ik shab ki javani laae hain

firdaus-e-sara-e-hasti men ham rang-e-gul-e-mahtab hain ham

rusvai-e-sher-o-ishq ne vo rutba hamen ‘akhtar’ bakhsha hai

fakhr-e-dakan-o-bangal hain ham naz-e-avadh-o-panjab hain ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kin Hawalon Mein Aa Ke Uljha Hun

KHudi Kya Aur KHudi Ka Muddaa Kya

Ek Manzar Iztirabi Ek Manzar Se Ziyaada

Dekhen Qarib Se Bhi to Achchha Dikhai De

Sufi

Muqaddar Ne Kahan Koi Naya Paigham Likkha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet