subh ko hashr bhi hai kat gai gar aaj ki raat
de raha hai mira dil kal ki khabar aaj ki raat
mere nalon men ghazab ka hai asar aaj ki raat
log thame hue baithe hain jigar aaj ki raat
zabt maane hai ki vo shokh shikayat na kare
be-sada aah bhi hai misl-e-asar aaj ki raat
tuute padte hain falak se bhi sitare paiham
chunne baitha hai jo afshan vo qamar aaj ki raat
zabt-e-nala ne ye andher kiya siine men
ban gaya ghut ke dhuan soz-e-jigar aaj ki raat
Leave a Reply