mujhe jab maut ne boya zamin men
main phir ugne ko ja soya zamin men
ḳhiram is husn vaale ka hai aisa
gaḌe hain aadmi goya zamin men
mira nam-o-nishan nikla zamin se
mira nam-o-nishan khoya zamin men
guzar-auqat karna hai yahin par
zamin par vaqt kaaTo ya zamin men
Leave a Reply