tiir pahlu men nahin ai rufaqa-e-parvaz
tair-e-jan ke ye par hain barae parvaz
yuun to par-band huun par yaar paron par mere
jo girah teri hai so uqda-kusha-e-parvaz
ek parvaz ki taqat nahin us ja se mujhe
aur jo hukm ho sayyad sivae parvaz
dekhiyo naama na laaya ho kabutar is ka
kuchh mire kaan men aati hai sada-e-parvaz
be-par-o-bali pe ghash huun ki ye har dam hai rafiq
thi par-o-bal hi tak ham se vafa-e-parvaz
apne nazdik to is daam men phans kar sayyad
kisi kam-bakht ko hovega hava-e-parvaz
to bhi us tak hai rasai mujhe ‘ehsan’ dushvar
daam luun gar par-e-jibril bara-e-parvaz
Leave a Reply