akele kya pas-e-divar-o-dar ga.e ham tum
sagan-e-ḳhufta ko hoshyar kar ga.e ham tum
qadam qadam pe ajab be-haya nigahon ka
hisar sa nazar aaya jidhar ga.e ham tum
gulon ne ḳhuub pazira.i ki ki bhule se
kisi chaman men na bar-e-digar ga.e ham tum
umid-e-vasl ke din kaT ga.e bhaTakne men
na hoTalon pe yaqin tha na ghar ga.e ham tum
hava-e-dahr ne sahma rakha tha kis darja
kivaḌ bhi kahin khaḌka to Dar ga.e ham tum
falak ki dhun thi magar farsh par hamare paanv
jame na the ki ḳhala men bikhar ga.e ham tum
zahe ye himmat-e-parvaz bhi magar ab to
nasheb men ka.i ziine utar ga.e ham tum
Leave a Reply