jo shikayat-e-gham-e-zindagi kabhi lab par apne na la sake
vo shab-e-firaq ki dastan bhala kya kisi ko suna sake
ka.i sar se guzrin qayamaten paḌin ham pe laakh musibaten
diin falak ne kitni aziyyaten tumhen dil se ham na bhula sake
tu vafa-shanas zarur hai ye tamam apna qusur hai
ye ajab junun ka ghurur hai tire astan pe na ja sake
vahi dard-e-dil ki hai dastan jo hamesha dil men rahe nihan
kare ek baar koi bayan to zamane-bhar ko rula sake
Leave a Reply