goriyon kaliyon ne maar diya
jamunon valiyon ne maar diya
ang hain ya rikabiyan dhan ki
mohni thaliyon ne maar diya
gungunate hasin kanon ki
dolti baliyon ne maar diya
uude uude sahab se anchal
rang ki jaliyon ne maar diya
zulf ki nik.haton ne jaan le li
hont ki laliyon ne maar diya
uff vo pyase moazzezin jinhen
ras-bhari galiyon ne maar diya
jhumti daliyon se jism ‘adam’
jhumti daliyon ne maar diya
Leave a Reply