ishq men barbad hone ke siva rakkha na tha
gham ko sahne ke alava koi bhi chara na tha
yaad rah rah kar kisi ki hai satati raat bhar
sub.h hote bhuul jaana ye tujhe sheva na tha
ye tiri ulfat mujhe rakhti hai betabi men gum
ye sabhi ko thi khabar lekin koi charcha na tha
aina dekhun to kyuun tu hi nazar aae mujhe
bolta hai kya tira chehra mere jaisa na tha
din guzar jaata hai duniya ki masafat men magar
raat hi ik imtihan hai jis ka andaza na tha
raat ki tanhaiyan aghosh men le kar mujhe
puchhti hain kya kabhi tanhaiyan dekha na tha
kya mohabbat vo nasha hai main zara janun ‘nisar’
zindagi men is tarah pahle kabhi bahka na tha
Leave a Reply